Ads Top

Lady Chatterley's Lover Netflix Super Hit Review

 *Lady Chatterley's Lover* naamwar angrez musannif D. H. Lawrence ka aakhri novel hai, jo pehli baar nijee taur par 1928 mein Italy aur 1929 mein France mein shaya hua tha. 1960 tak Britain mein khule aam iski shayaat mumkin nahi thi, kyunke yeh publisher Penguin Books ke khilaf obscenity ke muqaddame ka maudu tha. Penguin Books ne muqaddama jeet liya aur is novel ki teen million copies haathon haath farokht ho gayi. America, Canada, Australia, India aur Japan mein bhi obscenity ki wajah se pabandiyan lagi thi. Yeh kitaab jald hi ek mazdoor tabqe ke mard aur ek uchi class ki aurat ke darmiyan jismani aur jazbaati talluqaat ki kahani, sexual relations ki bold presentation, aur tab tak ke shajar-e-mamnooa samjhe jane wale nakara lafzon ke istemal ke liye badnaam ho gayi.





21vi sadi tak aate aate yeh novel duniya ki adabi shaahkar ki haisiyat ikhtiyaar kar gaya hai. Is par kai filmein ban chuki hain aur ab yeh un mulkon mein bhi aabam ki dastaras mein aa raha hai jahan pehle is par pabandiyan lagayi gayi thi. 2022 mein Netflix ne is novel par bani film pesh ki. Aam taur par mujhe novel par bani filmein dekh kar itna maza nahi aata jitna novel padh kar, lekin yeh film kaafi had tak novel ki fiza ko film mein barqarar rakhne mein kamyab nazar aati hai.


Kahani mein ek nawab zadi ki ek ameer ghar ke fauji se shaadi ho jati hai aur shaadi ke foran baad woh jang pe chala jata hai. Jang mein badqismati se woh na sirf tangon se mazoor ho jata hai balki jismani amal ke qabil bhi nahi rehta. Jang se laut kar woh apni aalaishan haveli mein rehta hai, biwi se mulazim ki tarah dekhbhaal karti hai, aur usse behan se milne tak nahi jaane deta, yahan tak ke uski walk pe jaane pe bhi shakk karta hai.


Phir ek din nasal aage barhane aur apni jaidad ka waris paida karne ke khayal se, woh apni biwi ko na sirf ijazat deta hai balki is par zidd karta hai ke woh kisi aur mard se humbisteri kar le, lekin usse na bataye ke woh kis ka bacha hai. Lady Chatterley ko ek mulazim se mohabbat ho jati hai kyunki dono ko James Joyce ki kitaabein pasand hain. Woh mulazim ke bache ki maa banne wali hoti hai jab uske shauhar ko yeh baat pata chal jati hai. Woh mulazim ko naukri se nikal deta hai aur Chatterley se kehta hai ke maine tumhe ek mulazim ke saath talluq banaane ki ijaazat nahi di thi. Chatterley ko is jurm pe woh talaaq dene se inkaar kar deta hai. Chatterley ka baap aur behan bhi iski mukhalafat karte hain lekin woh daulat, sare rishte aur tabqaati taqseem ke munh par thook kar sari samaji pabandiyan pairon tale kuchal kar ek mulazim ke saath apna aahd-e-mohabbat nibhaati hai.


Film ki markazi kahani, manazir aur adaakari shandaar hai, lekin do khaas waqiyaat hain jo mujhe khaaskar mutawajeh karte hain:


1. **Maqsoor Sarmaaya Daar Fauji**: Film mein maqsor sarmaaya daar fauji khaandaani ameer hai aur usse bungalow aur jagir fauji ki taraf se allot nahi hui. Uska mulazim, jisse uski biwi ka talluq ban jata hai, woh bhi ek aala army oonche se retire hai lekin apni guzarchar ke liye ek mamooli naukri karta hai, jabke hamare yahan to jagirein aur khilatain ati hain aur retirement ke baad beroon-e-mulk shahi rehaish ikhtiyar karna ek fashion ban gaya hai.


2. **Lady Chatterley ka Baap**: Jab Lady Chatterley apne walid ko ek mulazim ke saath apne affair ka batati hai, to woh hamari taraf ke naam naad nonchalant baap ki tarah cheekh-choohad nahi karta, balki bohot narm lehje mein batata hai ke zindagi mein mukhtalif talluqaat ban jate hain, yeh insani fitrat hai, lekin tumhe iske liye apni shaadi nahi toodni chahiye. Mera mashwara yahi hai, lekin tum apni marzi se faisla lene mein azaad ho.


Film aur novel mein na sirf kuch taboos pe zarb lagti hai balki ismein aise sexual scenes bhi hain jo ethics ke namekaron ko nagawar guzar sakte hain. Isliye, film ya novel apni zimmedari par dekhein.


**Movie (novel) name:** Lady Chatterley's Lover (Netflix: 2022)  

**Writer:** D. H. Lawrence  

**Rating:** 6.6

No comments:

Powered by Blogger.